Mujhe ab nind ki talab nhi, ab raato ko jagna achha lagta hai
Mujhe nhi malum ki tum meri kismat mein ho ya nhi, magar khuda se tumhe maangna achha lagta hai
Jane mujhe haq hai ya nhi, par tumhari parvaah karna achha lagta hai
Tumse pyar karna sahi hai ya nhi, par is ehsaas ko jeena achha lagta hai
Kabhi hum saath honge ya nhi,par yeh khawaab dekhna achha lagta hai
Tum mere ho ya nhi,par tumhe apna kehna achha lagta hai
Dilko behlaya bahut ,par manta hi nhi , shayad ise bhi tumhare liye dhadakna achha lagta hai.
No comments:
Post a Comment