Recent Comments Widget for Blogger With Avatar For Blogger by Beautiful Blogger Widgets

Khamosh raaton ki khamoshi, Dil ko jalane lagi

Khamosh raaton ki khamoshi, Dil ko jalane lagi
Aaj na jane kyun tumhari, Itni yaad aane lagi

Dil ne dhadakna kum kiya, tumko yaad jyada kiya
Meri angdaiyon me teri tadap, ab nazar aane lagi

Kuch mehsus kiya , Anjana sa inn hawaon mein
Kuch tere badan ki bheeni si mehak aane lagi

Taaron ne bhi apni Roshni badha di aur achanak
Andheri raat mein teri gali, saaf nazar aane lagi

Tere ghar ka raasta mana Mushkil to hai bahot
Par mujhe ab apni manzil, Aasaan nazar aane lagi

Pana hai tujhe har haal, Har keemat par sanam
Ab meri koshish mujhe, Tere aur kareeb lane lagi

Aaj ya kal main ho jaungi teri Ye janti hun main
Jaan ab to zindagi tum bin, Bemaani nazar aane lagi

No comments:

Search This Blog

Wikipedia

Search results